*~!
!~*Main Jis K Dil Ki Kitab Banta*~!
Main Jis K Dil Ki Kitab Banta Main Jis
Ki Chahat Ka Khwab Banta
Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad Ban Kar Azaab Banta Koi
Tu Hota? Jo Meri Khowahish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jata Manata Mujh Ko K Chahay Mera Qasoor Hota Koi Tu Hota? Jo Mujh Ko Dil Ka Qarar Kehta
Ragoon Ka Apni Fishar Kehta Udaas Mosam Main Tazgi Ki Bahar Ban Kar Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta Koi Tu
Hota?
Dua Say Ani Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta Woh Is Jahan Say Ghamon
Ka Merey Hisab Leta Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton K Tamam Rishtay Koi Tu Hota? Main Jis K Itna Kareeb Hota Na
Paas Koi Rakeeb Hota Main Tanha Us Ka Habib Hota Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota Koi Tu Hota? KÄħH Koi Tu Hota?
| | |
|
| |
"Kaatii Hai Ghum Ki Raat Baday Ehataraam Se"
Kaatii hai Ghum kii raat baday ehataraam se Aksar
bujhaa liyaa hai charaagon ko shaam se
Roshan hai apnii bazm is ehatamaam se Kuchh dil bhi jal
rahe hain charaaghon ke naam se
Muddat hui hai Khuun-e-tamannaa kiye magar Ab tak Tapak
rahaa hai lahuu dil ke jaam se
Subah-e-bahaar hum ko bulati rahi magar Hum kheltay rahey
kisi zulfon kii shaam se
Har saans par hai maut kaa pehra laga hua Aahistaa aie
hayaat guzar is maqaam se
Kaatii tamaam umr fareb-e-bahaar mein Kaante samait'tey
rahey phulon ke naam se
Ye aur baat hai ke hum na sun sakey Awaz us ne dii
hai hamein har maqaam se
Meri Zindagi Hai Wo...!!!
Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi Jaisy woh ajnabi larki Mujh sey pyar karti hai Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker Dekhti hai, janey kiya sooch
ker Nazrein chura jati hai Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai Mehsoos
mujhey yeh hota hai k Shayad mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay Woh mujh sey kuch
kehna chahti hai Meray pochnay per kuch sharma si jati hai Kuch ghabra si jati hai
"Suniyey" keh kar bhaag jati hai Ajnabi larki shayad
pyaar karti hai mujh sey Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey Dil bhi kitna pagal hai Kiya kiya sochta rehta
hai
Kuch masoom sey jazbey hain Kuch undekhey sapney hain Mager
woh nahin janti shayad...!!! Meri Zindagi Hai Wo...
www.chiragparmar.tripod.com
www.chiragkparmar.tripod.com | | |
In aansuoun ko
paani kehna bhool nahin, NADAANI hai In aansuoun ko paani kehna bhool nahin, NADAANI hai Than man mein jo aag
lagaye Ye tho aisa paani hai
Kaise tumse ishq huaa Kya kya hum pe beethi hai Kaise tumse ishq huaa Kya
kya hum pe beethi hai Suno tho sachcha afsana Varna ek kahani hai
Dukh sukh sehna aur khush rehna Ishq mein
laazmi hai Dukh sukh sehna aur khush rehna Ishq mein laazmi hai DILWALE ho tho naa ghabraana Ye tho reeth purani
hai
Sapno Se Dil Lagane Ki Aadat Nahi Rahi, Har Waqt Muskurane Ki Aadat
Nahi Rahi... Ye Soch K Ki Koi Manane Nahi Aayega, Ab Hame Ruth Jane Ki Aadat Nahi Rahi...
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi, Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat
Nahi... Aap Jese Dost Jabse Mile, Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi.....
Beintehaa Pyaar |
|
|
|
|
|
|
Hoke zameen ki khaq aasmaan ki chaah q karoon Main tujhko paane ki tamanna q karoon
mujhko khabar hai judaai tadpaaegi tujhe har pal isi liye bataade main tujhse wafa q karoon
Iman ko mere chot lagegi gar tu na mila mujhe tujhe apna banaane ki phir duaa q karoon
teri masoomiyat ko rab ne banaaya hai mohabbat ke liye Tujhe na chahne ki phir main khata q
karoon
farishtey bhi tadap jaate hain jub teri ankh se ashk chhalakte hain Yeh dard tujhe dekar main
koi gunaah q karoon
Teri meri qismat ki raahein hain judaa judaa Main phir teri banjaane ki aarzoo q karoon
Meri haathon ki lakeeron mein nahi hai naam tera Main tera naam apne naam se milaane ki justajoo q
karoon
Meri baatein tere dil mein hameshaa bas jaati hain Is baat ki khabar rakh kar main koi guftagoo q
karoon
Baaton Baaton mein benaam fasaane banjaate hain Aur aisi adhoori kahaani ko main shoru q
karoon
Jo bhi jazbaat hai dil mein dil tak mehfooz hai Yeh bataao ke main unka
zikr roobaroo q karoon
Maana ke mohabbat bhari nazar dil par gehraa asar karti hai Usse pyaar se dekh kar us par koi
jaadoo q karoon
Mere liye yeh mumkin nahi ke main teri banjaaon kabhi Lekin main tujhse mohabbat ka subse izhaar q
karoon
Itna dukhaaya dil ko tune mere, itna rulaaya hai mujhe sub kuch sahoon phir bhi tujhse beintehaa
pyaar q karoon
|
|
|
|
|
|
Do jawan dillon ka gham dooriya samajhti hain, Kaun yaad karta hai hichkiya samajhti
hain.
Tum toh khud hi qatil ho tum yeh baat kya jaano, Kyon hua main deewana badiya samajhti hain.
Baam se
utarti hai jab haseen dosheeza, Jism ki nazakat ko seediyan samajhti hain.
Yuon toh sehre gulshan ko kitne log aate
hai, Phool kaun todega daliya samajhti hai.
Jisne kar liya dil mein pehli bhar ghar danish, usko meri aankhon
ki putliya samajhti hain.
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete, Jo
Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata, Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete.
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri, Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete.
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se, Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya, Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main, Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri, Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne, Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
www.chiragkparmar.tripod.com
| | |
|
Kaash dil ki awaz ka itna asar ho jaaye Hum
unhe yaad karen Aur unhe khabar ho jaaye .
| | |
Mohabbat ki shamma jalake to dekho, Zara dil
ki duniya saja kar to dekho, Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna, Zara humse nazaren milake to dekho.
| | |
Ta mam umar zindagi se door rahe, Teri
khushi ke liye tujse door rahe Ab is se badkar wafa ki saza kya hogi Ki tere hokar bhi tujse door rahe.
| | |
Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki
ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut
meri.
| | |
Jab bhi apse milne ki takdeer nazar ayi Mujhe
pavon main bandhi zanjeer nazar ayi Teri yaad main nikal pare mere aansu Har aansu main teri tasweer nazar ayi.
| | |
Talaash karo koyi tumhe mil jayega Magar humari
tarah tumhe kaun chahega Zaroor koyi chahat ki nazar se tumhe dekhega Magar hamara dil kahan se layega.
| | |
Aansu ko ankhon ki Dehliz pe laya na karo.
Apne dil ki halat Kisiko bataya na karo. Log mutthi bhar namak liye Ghoom rahe hain Apne zakhm kisiko
Dikhaya na karo.
| | |
| | |
|